Saturday, June 3, 2023

DA (महँगाई भत्ता) kya hota hai. DA kaise calculate krte hai ?

  DA ka full form Dearness Allowance hai. Hindi me DA ko mahangayi bhatta. Kahate hai . Yah karmchariyo ke inflation ke prabhaw ko kam krne ke liye bhugtaan kiye gye ek karmchari ke wetan ka hissa hai.jise mool wetan ke hissa k rup me calculate krte hai .

Mahangayi bhatta mahangai pr aadharit ek jiwit samayojit anudaan hai . 

DA bharat, Bangladesh aur pakistan me sarkari karmchariyo tatha sarvajanik kshetra (PSU) ke karmchariyo ko bhugtaan kiya jata hai . 

History of DA (DA का इतिहास):

Dearness Allowance ka prarambh dusre world war ke samay hua tha. Jiske antargat sipahiyon ko khane ki aur dusri suvidhaon hetu unke nirdharit wetan Ke alawa kharch pradan kiya jata tha. Prapt hone wale es kharch k paise ko us samay khadya mahangayi bhatta ya dear food allowances ke naam se jaana jata tha. karmchari ke wetan jaise jaise badhotari hoti thi waise waise bhatte me bhi izafa kiya jata tha .

Bharat me sabase pahle 1972 me mumbai ke kapda udyog me mahangayi bhatta lagu kiya gya tha .

Eske baad hi sarkar ne sabhi karmchariyo ko mahangayi bhatta dene ka ailan kr diya tha taki desh me badhati mahangayi ka asar sarkari karmchariyo pr na pd ske.

Isliye 1972 mein he is per Kanoon banaa Diya Gaya jisse ki 1951 ke antargat Aane Wale Sabhi Sarkari  karmchariyon ko mahangai Bhatta Diya Jaane Laga Is Tarah Bharat mein mahangai Bhatta lagu ho gaya.



DA ki gadana Kaise karte hai :

Sarkar ne 2006 me DA calculate ke formule me badlaw kiya tha tb se esi adhar pr DA calculate hota hai . Es formule ke aadhar pr calculate hota hai.

DA={(100-115.75)÷115.75}×100

Central public sector ke karmchariyo ke liye farmula es tarah hai .

Mahangai Bhatta %=(bite 3 mahino ka upbhokta muly suchkank ka ausat(base year 2001=100)-126.33)÷100×100


Upbhokta mulya suchkank kya hai .

(what is consumer price index) 

Upabhokta muly suchkank (CPI) gharelu upbhoktao dwara kharide gye  samano tatha sewa (goods and services) ke ausat muly ko mapane wala ek suchkank hai. Upbhokta muly suchkank ki gadna vastuon aur sewao k ek manak namune ke ausat muly ki gadna karke ki jaati hai . Vastuwo aur sewaon ka yah manak samuh ek ausat shahri upbhokta dwara kharide jaane wali vastuwo ka samuh hota hai .

Definition: A comprehensive measure used for estimation of price changes in a basket of goods and services representative of consumption expenditure in an economy is called consumer price index.